Meena Kumari Poetry in Hindi

Meena Kumari Poetry

wasi shah

Meena Kumari is a famous Indian film actress and poet.She is Born on 1 August 1932 in Mumbai, India.He is Died 31 March 1972 Mumbai, India.Meena Kumari daughter of Ali Baksh and Iqbal Begum.



Tukre tukre din biitaa dhajjii dhajjii raat milii

tukre tukre din biitaa, dhajjii dhajjii raat milii
jiskaa jitnaa aaNchal thaa, utnii hii saugaat milii

jab chaahaa dil ko samjheN, hansne kii aavaaz sunii
jaise ko�ii kahtaa ho, le phir tujh ko maat milii

maateN kaisii, ghaateN kyaa, chalte rahnaa aaTh pahar
dil saa saathii jab paayaa, be-chainii bhii saath milii

share whatsapp

share viber

Ablapa koi is dasht main aya hoga

Ablapa koi is dasht main aya hoga
warna andhi main diya kis ne jalaya hoga
zarre zarre pe jare honge kunware sajde
ek ek but ko Khuda us ne banaya hoga
pyas jalte huye kanton ki bujhai hogi
riste pani ko hatheli pe sajaya hoga
mil gaya hoga agar koi sunahari patthar
apna tuta hua dil yad to aya hoga
khun k chinte kahin poch na len rehron se
kis ne wirane ko gulzar banaya hoga

share whatsapp

share viber

ye rat ye tanhai

ye rat ye tanhai
ye dil k dharakne ki awaz
ye sannata

ye dubte taron ki
khamosh gazalkhwani
ye waqt ki palkon par
soti hui wirani
jazbat-e-muhabbat ki
ye akhri angrai
bajti hui har janib
ye maut ki shahnai

sab tum ko bulate hain
pal bhar ko tum a jao
band hoti meri ankhon main
muhabbat ka
ik Khwab saja jao

share whatsapp

share viber

Chand tanha hai asman tanha

Chand tanha hai asman tanha
dil mila hai kahan kahan tanha

bujh gai as chup gaya tara
thartharata raha dhuan tanha

zindagi kya isi ko kahte hain
jism tanha hai aur jan tanha

hamsafar koi gar mile bhi kahin
donon chalte rahe tanha tanha

jalti bujhti si raushani k pare
simta simta sa ek makan tanha

rah dekha karega sadiyon tak
chor jayenge ye jahan tanha

share whatsapp

share viber

Puchte ho to suno kaise basar hoti hai

puchte ho to suno kaise basar hoti hai
rat khairat k sadqe ki sahar hoti hai

sans bharne ko to jina nahin kahte ya rab
dil hi dukhta hai na ab asteen tar hoti hai

jaise jagi hui ankhon main chubhen kanch ke khwab
rat is tarah diwanon ki basar hoti hai

gam hi dushman hai mera gam hi ko dil dhundta hai
ek lamhe ki judai bhi agar hoti hai

ek markaz ki talash ek bhatakti khushbu
kabhi manzil kabhi tamhid-e-safar hoti hai

share whatsapp

share viber

ye nuur kaisaa hai

ye nuur kaisaa hai
raaKh kaa saa rang pahne
barf kii laash hai
laave kaa saa badan pahne
guuNgii chaahat hai
rusvaa�ii kaa kafan pahne
har ek qatraa muqaddas hai maile aaNsuu kaa
ek hujuum-e-apaahij hai aab-e-kausar par
ye kaisaa shor hai jo be-aavaaz phailaa hai
rupahlii chaaNv meN � badnaamioN kaa Deraa hai
ye kaisii jannat hai jo chaunk-chaunk jaatii hai
ek intizaar-e-mujassam ka naam � Khamoshii
aur ehsaas-e-bekaraaN pe ye sarhad kaisii?
dar-o-diivaar kahaaN ruuh kii aavaargii ke
nuur kii vaadii talak lams kaa ek safar-e-taviil
har ek moR pe bas do hii naam milte haiN
maut kah lo � jo muhabbat nahiiN kahne paa�o

share whatsapp

share viber

yun teri rahguzar se diwana war guzre

yun teri rahguzar se diwana war guzre
kandhe pe apne rakh k apna mazar guzre

baithe rahe hain rasta main dil ka khandar saja kar
shayad isi taraf se ek din bahar guzre

bahti hui ye nadiya ghulte hue kinare
koi to par utre koi to par guzare

tu ne bhi ham ko dekha hamne bhi tujhko dekha
tu dil hi har guzra ham jan har guzre

share whatsapp

share viber

agaz to hota hai anjam nahin hota

agaz to hota hai anjam nahin hota
jab meri kahani main wo nam nahin hota

jab zulf ki kalikh main ghul jaye koi rahi
badnam sahi lekin gumnam nahin hota

hans hans k jawan dil k ham kyon na chunen tukre
har shakhs ki qismat main inam nahin hota

bahte hue ansu ne ankhon se kaha tham kar
jo mai se pighal jaye wo jam nahin hota

din dube hain ya dubi barat liye kashti
sahil pe magar koi kohram nahin hota

share whatsapp

share viber

meraa maazii

meraa maazii
merii tanhaa�ii kaa ye andhaa shigaaf
ye ke saaNsoN kii tarah mere saath chaltaa rahaa
jo merii nabz kii maanind mere saath jiyaa
jisko aate hu�e jaate hu�e be-shumaar lamhe
apnii sanglaaKh ungliyoN se gehraa karte rahe, karte gaye
kisii kii oak paa lene ko lahuu bahtaa rahaa
kisii ko ham-nafas kahne kii justujuu meN rahaa
ko�ii to ho jo be-saaKhtaa isko pahchaane
taRap ke palte, achaanak ise pukaar uThThe
�mere ham-shaaKh
mere ham-shaaKh merii udaasiyoN ke hissedaar
mere adhuurepan ke dost
tamaam zakhm jo tere haiN
mere dard tamaam
terii karaah kaa rishtaa hai merii aahoN se
tuu ek masjid-e-viiraaN hai, maiN terii azaaN
azaaN jo apnii hii viiraangii se takraa kar
dhakii chhupii hu�ii bevaa zamiiN ke daaman par
paRhe namaaz Khudaa jaane kisko sijdaa kare�

share whatsapp

share viber

Meena Kumari Poetry in Hindi

Source: https://www.whatspk.com/poetry/Meena_Kumari_Poetry.html

0 Response to "Meena Kumari Poetry in Hindi"

Post a Comment

Iklan Atas Artikel

Iklan Tengah Artikel 1

Iklan Tengah Artikel 2

Iklan Bawah Artikel